What is Input Devices in Hindi

Aaj technology bahut teji se badh rahi hai aur sabhi log Computer se jude huye hai. Computer use karne ke sath sath logo ko Computer ke parts ki knowledge hona bhi bahut jaruri hai. Aaj hum is post me janenge what is Input Devices in Hindi and Types of Inputer devices.

Aise Device jinka use Computer me Data or instruction input karane ke liye kiya jata hai Input device kahalate hai. Input device Computer and user ke beech me interface provide karta hai. Input Device computer ko instruction provide karte hai ki Computer ko kya karna hai ya kya nahi karna hai. Ek computer ko chalane ke liye bahut sare Input device ki jarurat padhti hai aaj hum kuch important input device ke bare me janenge.

(1) Keyboard

Keyboard ka use text likhne ya text Data ko computer me input karane ke liye kiya jata hai. Keybord keys se hum computer ko control kar sakte hai ki computer se kya karwana hai aur kya nahi karwana.

Ek Keyboard me total 102 keys hoti hai aur in sabhi keys ko according to work 6 other bhago me bata gaya hai.

Function keys

Function keys keyboard ke sabse top me rahte hai Jinka value F1 se F12 tak rahti hai. Function keys ka use particular work ke liye kiya jata hai jaise F5 key ka use refresh karne ke liye kiya jata hai.

Typing keys

Computer me sabse jyada typing keys ka hi use hota hai jo main roop do bhago me bata hai- Numeric (0-9) and Alphabets (A to Z). Typing keys ko Alpha Numeric keys bhi kaha jata hai.

Control keys

Control keys ka use other keys ke sath specific work ko karne ke liye kiya jata hai jaise - alt, Ctrl, windows, Esc etc.

Ctrl + C = Copy karne ke liye

Ctrl + V -  Past Karne ke liye

Windows + E =  Computer Drive open karne ke liye

Alt + f4 = Window Close karne ke liye

What is Output Devices in Hindi

(2) Mouse

Mouse ek pointing device hai jo program or file ko select kar use open or close karne ke liye kiya jata hai. Mouse me three types ke buttons use hote hai- Left button, Right button and Center button.

(3) Scanner

Scanner ka use kisi file ko scan karne ke liye kiya jata hai. Jaise man lijiye aapke paas koi book hai ab use computer me upload karni hai to kaise hogi. Sabse pahle use scanner se scan kar lege phir Computer me upload ho jayegi.

(4) Light Pen

Light Pen ka use computer me diagram or picture banane ke liye kiya jata hai. Ise Pointing Device bhi kahte hai jo dekhne me Pen jaisa hota hai.

This is a headline.

VISIT US


123 Pup Road,
Walkies, California 94105
USA
415-555-5555

Copyright Hindi Me Post